Bhutiya gufa | Gufa Wala Bhoot


Yeh kahani hai ek gaon me rehne wale logo ki jo kehte the ki paas hi nadi padti hai jaha per ek daravani gufa hai or waha se daravani awaje aayaa karti thi jo bhi us gufa ke najdik se gujaratta tha to us gufa me se us insan ka naam lene ki awaaj aayaa karti thi or log kaha karte the ki us gufa ke andar bahut sara sona chandi hoga kyuki undino unke gaon me bahut sari chori or daketi ki vaardat huaa karti thi or chor apna sara chori ka maal gufa me chupaya karte the. Ek din ek vinit naam ka aadmi us gufa ke andar jaane ki soch raha tha sona chandi ke lalach me usne socha ki gufa ke andar jaa ke sona chandi le ke aa jaunga to vo agle din vaha pe gaya or usne gufa ke andar jane ki koshish ki or vinit ko andar jaane me bahut darr bhi lag raha tha or uske baad jab vo andar gaya to gufa thodi si lambi thi or vinit ko koi sona chandi to nhi mila lekin bahut saare logo ki laashe us gufa me kisi rassi se latki hui thi or vaha per koi darawana sa aadmi unki laasho ko rassi se latka raha tha phir uske baad vinit yeh sab dekh ke samaj gya ki is gufa me koi sona chandi nhi hai balki yeh gufa kisi bhoot ki hai jo insano ko pakad ke unko maar deta hai or unki laasho ko rassi se latka deta hai vinit yeh sab dekh ke vaha se bhagne ki koshish kar raha tha tabhi vo gufa vala aadmi uske samne aagya or phir vinit ko maarke usko bhi rassi se latka diya is ghatna ke baad gaon ka koi bhi insan us gufa me nhi jaata.

Previous Post Next Post